Jalta Nahin Aur Jal Raha Hun

jalta nahin aur jal raha hun

kis aag mein main pighal raha hun

mafluj hain hath panw mere

phir zehn mein kyun ye chal raha hun

ek bund nahin lahu ki baqi

kis baat par main machal raha hun

tum jhuT ye kah rahe ho mujh se

main bhi kabhi be-badal raha hun

kyun mujh se hue gunah sarzad

kahne ko to be-amal raha hun

rai ka bana ke ek parbat

ab us pe yunhi phisal raha hun

kis hath se hath main milaun

ab apne hi hath mal raha hun

kyun aaina bar bar dekhun

main aaj nahin jo kal raha hun

ab kaun sa dar raha hai baqi

is dar se main kyun nikal raha hun

qadmon ke tale to kuchh nahin hai

kis chiz ko main kuchal raha hun

ab koi nahin raha sahaara

main aaj phir se sambhal raha hun

main kyun karun aasman ki KHwahish

ab tak to zamin pe chal raha hun

ye barf haTao mere sar se

main aaj kuchh aur jal raha hun

mujh ko na pilao koi pani

pyason ke main sath chal raha hun

khane ki nahin rahi talab kuchh

ab bhuk ke bal pe pal raha hun

(423) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jalta Nahin Aur Jal Raha Hun In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Jalta Nahin Aur Jal Raha Hun is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Jalta Nahin Aur Jal Raha Hun for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Jalta Nahin Aur Jal Raha Hun in PDF.