Kahan Kho Gai Ruh Ki Raushni

kahan kho gai ruh ki raushni

bata meri raaton ki aawargi

main jab lamhe lamhe ka ras pi chuka

to kuchh aur jagi meri tishnagi

agar ghar se niklun to phir tez dhup

magar ghar mein Dasti hui tirgi

ghamon pe tabassum ki Dali naqab

to hone lagi aur be-pardagi

magar jagna apni qismat mein tha

bulati rahi nind ki jal-pari

jo tamir ki kunj-e-tanhai mein

wo diwar apne hi sar par giri

hui barish-e-sang us shahr mein

hamein bhi mila haqq-e-ham-saegi

gizari hai kitnon ne is tarah umr

bil-aqsat karte rahe KHud-kushi

koi waqt batla ki tujh se milun

meri dauDti bhagti zindagi

jinhen sath chalna ho chalte rahen

ghaDi waqt ki kis ki KHatir ruki

mein jita to pai kisi se na dad

mein haara to ghar par baDi bhiD thi

hua hum pe ab jin ka saya haram

thi un baadalon se kabhi dosti

mujhe ye andhere nigal jaenge

kahan hai tu ai mere suraj-mukhi

nikale gae is ke mani hazar

ajab chiz thi ek meri KHamushi

(328) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahan Kho Gai Ruh Ki Raushni In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Kahan Kho Gai Ruh Ki Raushni is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Kahan Kho Gai Ruh Ki Raushni for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Kahan Kho Gai Ruh Ki Raushni in PDF.