Koi Tum Jaisa Tha Aisa Hi Koi Chehra Tha

koi tum jaisa tha aisa hi koi chehra tha

yaad aata hai ki ek KHwab kabhi dekha tha

raat jab der talak chand nahin nikla tha

meri hi tarah se saya bhi mera tanha tha

jaane kya soch ke tum ne mera dil pher diya

mere pyare isi miTTi mein mera sona tha

wo bhi kam-baKHt zamane ki hawa le ke gai

meri aankhon mein meri mai ka jo ek qatra tha

tu na jaga magar ai dil tere darwaze par

aisa lagta hai koi pichhle pahar aaya tha

teri diwar ka saya na KHafa ho mujh se

rah chalte yunhi kuchh der ko aa baiTha tha

ai shab-e-gham mujhe KHwabon mein sahi dikhla de

mera suraj teri wadi mein kahin Duba tha

ek meri aankh hi shabnam se sharabor rahi

subh ko warna har ek phul ka munh sukha tha

tum zara tham lo aa kar kabhi paimana-e-jaan

dekho dekho mere hathon se abhi chhuTa tha

(389) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Tum Jaisa Tha Aisa Hi Koi Chehra Tha In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Koi Tum Jaisa Tha Aisa Hi Koi Chehra Tha is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Koi Tum Jaisa Tha Aisa Hi Koi Chehra Tha for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Koi Tum Jaisa Tha Aisa Hi Koi Chehra Tha in PDF.