Main Der Se Dhup Mein KhaDa Hun

main der se dhup mein khaDa hun

saya saya pukarta hun

sona hun kured kar to dekho

miTTi mein daba hua paDa hun

le mujh ko sambhaal gardish-e-waqt

TuTa hua tera aaina hun

yun rabt to hai nashat se bhi

dar-asal main gham se aashna hun

sohbat mein gulon ki main bhi rah kar

kanTon ki zaban samajh gaya hun

dushman ho koi ki dost mera

har ek ke haq mein main dua hun

kyun aab-e-hayat ko main tarsun

main zahr-e-hayat pi chuka hun

taqdir-e-junun pe chup raha main

tabir-e-junun pe ro raha hun

har ahd ke log mujh se na-KHush

har ahd mein KHwab dekhta hun

(504) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Der Se Dhup Mein KhaDa Hun In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Main Der Se Dhup Mein KhaDa Hun is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Main Der Se Dhup Mein KhaDa Hun for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Main Der Se Dhup Mein KhaDa Hun in PDF.