Main Kahan Hun Kuchh Bata De Zindagi Ai Zindagi!

main kahan hun kuchh bata de zindagi ai zindagi!

phir sada apni suna de zindagi ai zindagi!

so gae ek ek kar ke KHana-e-dil ke charagh

in charaghon ko jaga de zindagi ai zindagi!

wo bisat-e-sher-o-naghma ratjage wo chahchahe

phir wahi mahfil saja de zindagi ai zindagi!

jis ke har qatre se rag rag mein machalta tha lahu

phir wahi ek shai pila de zindagi ai zindagi!

ab to yaad aata nahin kaisa tha apna rang-rup

phir meri surat dikha de zindagi ai zindagi!

ek muddat ho gai ruTha hun apne-ap se

phir mujhe mujh se mila de zindagi ai zindagi!

jaane bargashta hai kyun mujh se zamane ki hawa

apne daman ki hawa de zindagi ai zindagi!

rach gaya hai meri nas nas mein meri raaton ka zahr

mere suraj ko bula de zindagi ai zindagi!

(380) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Kahan Hun Kuchh Bata De Zindagi Ai Zindagi! In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Main Kahan Hun Kuchh Bata De Zindagi Ai Zindagi! is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Main Kahan Hun Kuchh Bata De Zindagi Ai Zindagi! for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Main Kahan Hun Kuchh Bata De Zindagi Ai Zindagi! in PDF.