Nashat-e-zindagi Mein Dub Kar Aansu Nikalte Hain

nashat-e-zindagi mein Dub kar aansu nikalte hain

suna hai ab tere gham ke nae pahlu nikalte hain

mohabbat ka chaman hai aao sair-e-sarsari kar len

yahan se le ke sab TuTe hue bazu nikalte hain

junun le ke chala hai pa-ba-jaulan us ke kuche se

liye aaghosh mein hum nikhat-e-gesu nikalte hain

teri basti mein diwanon ko ruswai hi ras aai

ye apna chaak daman le ke ab har su nikalte hain

wahi aariz wahi kakul wahi kafir-ada aankhen

magar har lamha phir bhi kuchh nae jadu nikalte hain

(324) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nashat-e-zindagi Mein Dub Kar Aansu Nikalte Hain In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Nashat-e-zindagi Mein Dub Kar Aansu Nikalte Hain is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Nashat-e-zindagi Mein Dub Kar Aansu Nikalte Hain for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Nashat-e-zindagi Mein Dub Kar Aansu Nikalte Hain in PDF.