Tarz Jine Ke Sukhati Hai Mujhe
tarz jine ke sikhati hai mujhe
tishnagi zahr pilati hai mujhe
raat bhar rahti hai kis baat ki dhun
na jagati na sulati hai mujhe
aaina dekhun to kyunkar dekhun
yaad ek shaKHs ki aati hai mujhe
band karta hun jo aankhen kya kya
raushni si nazar aati hai mujhe
koi mil jae to rasta kaT jae
apni parchhain Daraati hai mujhe
ab to ye bhul gaya kis ki talab
des pardes phiraati hai mujhe
(359) Peoples Rate This