Tu Bhi Ab ChhoD De Sath Ai Gham-e-duniya Mera
tu bhi ab chhoD de sath ai gham-e-duniya mera
meri basti mein nahin koi shanasa mera
shab-e-gham par laga de ye safina mera
subh hogi to utar jaega dariya mera
mujh ko malum nahin nam hai ab kya mera
DhunDne wale mujhe chhoD de pichha mera
main ne dekhi nahin barson se KHud apni surat
mere aaine se ruTha hai sarapa mera
tu bhi KHwabon mein mili main bhi dhundlakon mein tujhe
zindagi dekh kabhi ghaur se chehra mera
ghar se nikla hun to ab dur kahin jaane de
rok ai gardish-e-ayyam na rasta mera
do qadam dauD ke aawaz-e-jaras baiTh gai
chal paDa main to kahin panw na Thahra mera
mere daman mein rahi KHak-e-gharib-ul-watani
rah gaya dekh ke munh daman-e-sahra mera
(326) Peoples Rate This