Wo Ham-safir The To Qafas Bhi Chaman Hi Tha

wo ham-safir the to qafas bhi chaman hi tha

ab jaise aashiyan bhi mera aashiyan nahin

mere junun pe un ko KHalish si zarur hai

ye aur baat hai ki wo kuchh mehrban nahin

sab na-ummid ho ke zamane se ja mile

ahl-e-wafa ka aaj koi raaz-dan nahin

kaisi bahaar kaisa chaman kaisa mai-kada

mera lahu bhi pi ke ye duniya jawan nahin

hum ahl-e-gham ke pas dil-e-KHun-chakan to hai

tum ko sunaen haal wo tarz-e-bayan nahin

naseh ki zid pe charKH ko lana tha rah par

kaise kahen ki sai-e-junun raegan nahin

(439) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Ham-safir The To Qafas Bhi Chaman Hi Tha In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Wo Ham-safir The To Qafas Bhi Chaman Hi Tha is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Wo Ham-safir The To Qafas Bhi Chaman Hi Tha for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Wo Ham-safir The To Qafas Bhi Chaman Hi Tha in PDF.