Ye Alag Baat Ki Har Samt Se Patthar Aaya

ye alag baat ki har samt se patthar aaya

sar-bulandi ka bhi ilzam mere sar aaya

zindagi chhoD ne aai mujhe darwaze tak

raat ke pichhle pahar main jo kabhi ghar aaya

bas dua hai ki ilahi ye koi KHwab na ho

koi saya mere sae ke barabar aaya

barha socha ki ai kash na aankhen hotin

barha samne aankhon ke wo manzar aaya

kya kahen ab to ye aadat nahin jati hum se

jhuT bhi bole to sach ban ke zaban par aaya

main nahin haq mein zamane ko bura kahne ke

ab ke main kha ke zamane ki jo Thokar aaya

surKHi-e-mai bhi Thaharti nahin har chehre par

bul-hawas bhi usi mai-KHane se ho kar aaya

(465) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Alag Baat Ki Har Samt Se Patthar Aaya In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Ye Alag Baat Ki Har Samt Se Patthar Aaya is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Ye Alag Baat Ki Har Samt Se Patthar Aaya for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Ye Alag Baat Ki Har Samt Se Patthar Aaya in PDF.