Aaina-dar-aina

main aaj sawere jag uTha

dekha ki hai har-su sannaTa

chup-chap hai sara ghar aangan

bahar se band hai darwaza

sab bhai bahan biwi bachche

aaKHir hain kahan hai kya qissa

itne mein ajab ek baat hui

nagah jo dekha aaina

ek aadmi mujh ko aaya nazar

mujh se hi magar milta-julta

do sing hain us ke sar pe uge

ye dew hai koi ya dewta

tum kaun ho ye puchha main ne

par koi na mujh ko jawab mila

main kanp uTha thar thar thar thar

socha ki karun jhuk kar sajda

itne mein hui ek aahaT si

main sun ke yakayak chaunk uTha

ab der hui uThiye papa

han mujh ko daftar jaana hai

us KHwab ka lekin kya hoga

(390) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaina-dar-aina In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Aaina-dar-aina is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Aaina-dar-aina for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Aaina-dar-aina in PDF.