Sulagti Rut Thi Pa Kab Tu Bhi Pas Aisa Tha

sulagti rut thi pa kab tu bhi pas aisa tha

ki tere qurb ka manzar bhi pyas aisa tha

bichhaD ke tujh se to KHud se bhi sharm aati hai

tera wajud-e-badan par libas aisa tha

KHud apne dil ki sada teri dastakon si lagi

guman mein tha tera aana qayas aisa tha

shikast-o-reKHt ki saKHti ko kaise jhel gaya

mulaemat mein jo paikar kapas aisa tha

jahan kahin bhi gaya hun to ghar ko lauT aaya

udasiyon ka ye mahaul ras aisa tha

fasil-e-shahr giri aur ghanim ke Dar se

koi na chain se soya hiras aisa tha

paDhen to KHud ko zamin-bos paen kaj-dastar

meri kitab mein ek iqtibas aisa tha

(374) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Sulagti Rut Thi Pa Kab Tu Bhi Pas Aisa Tha In English By Famous Poet Khan Mohammad Khaleel. Sulagti Rut Thi Pa Kab Tu Bhi Pas Aisa Tha is written by Khan Mohammad Khaleel. Read famous Poem Sulagti Rut Thi Pa Kab Tu Bhi Pas Aisa Tha for youth and Student by Khan Mohammad Khaleel. Free Download Sulagti Rut Thi Pa Kab Tu Bhi Pas Aisa Tha in PDF.