Tufan Ke Dar Se Rang UDa Bhi Isi Ka Tha

tufan ke Dar se rang uDa bhi isi ka tha

lekin safina par laga bhi usi ka tha

jo honT sil gae wo sana-KHwan usi ke the

jo mar gaya wo harf-e-dua bhi usi ka tha

utri thi us ke ghar mein mah-o-mahr ki baraat

aur mera TimTimata diya bhi usi ka tha

minar-e-jaan mein us ki sada gunjti rahi

lauh-e-jabin pe nam likha bhi usi ka tha

thi us ke aks-e-ruKH se shafaq-rang zindagi

mere lahu mein rang-e-hina bhi usi ka tha

KHamoshiyon pe pahle kabhi us ka bas na tha

phir yun hua ki shahr-e-sada bhi usi ka tha

pahle to chand log taraf-dar the mere

phir wo bhi waqt tha ki KHuda bhi usi ka tha

(371) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Tufan Ke Dar Se Rang UDa Bhi Isi Ka Tha In English By Famous Poet Khan Mohammad Khaleel. Tufan Ke Dar Se Rang UDa Bhi Isi Ka Tha is written by Khan Mohammad Khaleel. Read famous Poem Tufan Ke Dar Se Rang UDa Bhi Isi Ka Tha for youth and Student by Khan Mohammad Khaleel. Free Download Tufan Ke Dar Se Rang UDa Bhi Isi Ka Tha in PDF.