Maqam-e-jaan

namak ke sahra mein apni palkon se

TukDe TukDe ye KHwab chun lun

to tujh ko dekhun

shikasta-hathon se hasraton ke azab chun lun

to tujh ko dekhun

jo tujh ko dekhun to jaan paun

ki is saf-e-dostan mein tera maqam kya hai

naqib-e-jaan tu kahan khaDa hai

wo saf ki jis ne mohabbaton ke gulab pahne

azim chahat ke surKH lamhon ki hiddaton se badan sajae

faqat tera jism hi nahin jalwa-zan meri jaan

balki sara jahan khaDa hai

(372) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maqam-e-jaan In English By Famous Poet Khan Mohammad Khaleel. Maqam-e-jaan is written by Khan Mohammad Khaleel. Read famous Poem Maqam-e-jaan for youth and Student by Khan Mohammad Khaleel. Free Download Maqam-e-jaan in PDF.