Dekhta Rahta Hun Main Teri Ghazali Aankhen

dekhta rahta hun main teri ghazali aankhen

dekh to tu bhi zara meri sawali aankhen

chashm-e-ahu se na nargis se hai tashbih durust

hain misal aap hi wo apni nirali aankhen

barhami husn ko kuchh aur jila deti hai

wo jamali tera chehra wo jalali aankhen

aa ke har roz tasawwur mein bana jati hai

ek rangin si taswir KHayali aankhen

KHat paDhe ya na paDhe aae na aae wo shoKH

'KHar' kyun bhej na den dekhne wali aankhen

(1634) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekhta Rahta Hun Main Teri Ghazali Aankhen In English By Famous Poet Khar Dehlavi. Dekhta Rahta Hun Main Teri Ghazali Aankhen is written by Khar Dehlavi. Read famous Poem Dekhta Rahta Hun Main Teri Ghazali Aankhen for youth and Student by Khar Dehlavi. Free Download Dekhta Rahta Hun Main Teri Ghazali Aankhen in PDF.