Haijaan Mein Talash-e-sukun Kar Raha Hun Main

haijaan mein talash-e-sukun kar raha hun main

yun apne gham ko aur fuzun kar raha hun main

wo sun rahe hain aur tabassum hai zer-e-lab

un se bayan haal-e-zabun kar raha hun main

ab is se baDh ke aur ho wahshat ka kya subut

talif nusKHa-ha-e-junun kar raha hun main

ek dushman-e-wafa se baDhai hai rasm-o-rah

KHud apni aarzuon ka KHun kar raha hun main

ab wadi-e-junun mein qadam rakh chuka hai ishq

tashhir-e-dagh-ha-e-darun kar raha hun main

mashur ho rahe hain wo sun kar mera kalam

dam un pe jaise koi fusun kar raha hun main

mabud hai wo bas mera matlub hi nahin

sajda us aastane pe yun kar raha hun main

shayad ki aab-e-tegh hi aab-e-hayat ho

hadd-e-adab se KHud ko barun kar raha hun main

sina bhi mera hath bhi mere tumhein gharaz

zad-kub apne sina ko kyun kar raha hun main

chupke se sah raha hun sitam tere bewafa

meri KHata to jab ho ki chun kar raha hun main

zoam-e-KHudi mein jis pe na jaane ka ahd tha

us dar pe 'KHar' sar ko nigun kar raha hun main

(454) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haijaan Mein Talash-e-sukun Kar Raha Hun Main In English By Famous Poet Khar Dehlavi. Haijaan Mein Talash-e-sukun Kar Raha Hun Main is written by Khar Dehlavi. Read famous Poem Haijaan Mein Talash-e-sukun Kar Raha Hun Main for youth and Student by Khar Dehlavi. Free Download Haijaan Mein Talash-e-sukun Kar Raha Hun Main in PDF.