Hum Ko Mahrum-e-karam Uski Jafa Ne Rakkha

hum ko mahrum-e-karam us ki jafa ne rakkha

zist se tang kisi tang qaba ne rakkha

sach to ye hai ki dua ne na dawa ne rakkha

hum ko zinda tere daman ki hawa ne rakkha

husn wale to bahut aur hain duniya mein magar

un ko yakta-e-zaman un ki ada ne rakkha

hasrat-e-did na sharminda-e-takmil hui

tere jalwaon ne kahan hosh Thikane rakkha

zulm chup ho ke sahen aise to majbur na the

hum ko lachaar magar teri raza ne rakkha

rah-e-ulfat mein bahut aae maqam-e-laghzish

shukr-sad-shukr bharam mera wafa ne rakkha

bas hamin tak rahen mahdud jafaen un ki

lutf itna to rawa ahl-e-jafa ne rakkha

rasta rok liya fart-e-nazakat ne kabhi

pas aae to unhen dur haya ne rakkha

kabhi daman-o-gireban se ulajhte rahe hath

dard-e-dil ne kabhi masruf dua ne rakkha

yaad aate rahe be-tarah moattar gesu

aaj bechain bahut baad-e-saba ne rakkha

'KHar' dushman ne to ilzam tarashe kya kya

surKH-ru mujh ko magar meri wafa ne rakkha

(379) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Ko Mahrum-e-karam Uski Jafa Ne Rakkha In English By Famous Poet Khar Dehlavi. Hum Ko Mahrum-e-karam Uski Jafa Ne Rakkha is written by Khar Dehlavi. Read famous Poem Hum Ko Mahrum-e-karam Uski Jafa Ne Rakkha for youth and Student by Khar Dehlavi. Free Download Hum Ko Mahrum-e-karam Uski Jafa Ne Rakkha in PDF.