Is Qadar Uski Mudaraat Hai Virane Mein

is qadar us ki mudaraat hai virane mein

koi to baat hai aaKHir tere diwane mein

faiz-e-saqi se jo mahrum hain mai-KHane mein

jaane kya hum se KHata ho gai anjaane mein

waqt ki baat hai ab us ke taraste hain lab

jitni hum chhoD diya karte the paimane mein

main ne mana ki adu bhi tera shaidai hai

farq hota hai fida hone mein mar jaane mein

dilrubai ke jise hum ne sikhae andaz

jaan-e-mahfil hai wahi ghair ke kashane mein

har ada dil ke liye dashna-o-KHanjar hai magar

aur hi baat hai zalim tere sharmane mein

na tasalli na tashaffi na koi pyar ki baat

tujh ko kya milta hai kafir hamein taDpane mein

saqiya mai jo nahin baqi to talchhaT hi sahi

Dal de nam-e-KHuda thoDi si paimane mein

meri jaanib se tere dil mein ghubar aa hi gaya

aaKHirash aa hi gaya ghair ke bhaDkane mein

ishq ki aag siwa kis mein hai ye kaun kahe

shama ke sina-e-sozan mein ki parwane mein

'KHar' hai jalwa-e-asnam se dil KHuld-e-barin

ya pari-zadon ka majma hai pari-KHane mein

(556) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Qadar Uski Mudaraat Hai Virane Mein In English By Famous Poet Khar Dehlavi. Is Qadar Uski Mudaraat Hai Virane Mein is written by Khar Dehlavi. Read famous Poem Is Qadar Uski Mudaraat Hai Virane Mein for youth and Student by Khar Dehlavi. Free Download Is Qadar Uski Mudaraat Hai Virane Mein in PDF.