Aarzuen Na-rasai Ru-ba-ru Main Aur Tu

aarzuen na-rasai ru-ba-ru main aur tu

kya ajab qurbat thi wo bhi main na tu main aur tu

jhuTpuTa KHuni ufuq ki wusaten KHamoshiyan

fasle do peD tanha hu-ba-hu main aur tu

KHushk aankhon ke jaziron mein bagulon ka ghubar

dhaDkanon ka shor surma-dar-gulu main aur tu

barish-e-sang-e-malamat aur KHilqat shahr ki

pyar ke masum jazbon ka lahu main aur tu

ajnabi nazron ke shole har taraf phaile hue

dushman-e-jaan rah o manzil kaKH-o-ku main aur tu

nafraton ki gard rasta kaTti har moD par

ishq ki KHushbu mein uDte ku-ba-ku main aur tu

ehtiram-e-admi ehsas-e-gham marg-e-ana

aaj kis kis zaKHm ko karte rafu main aur tu

(378) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aarzuen Na-rasai Ru-ba-ru Main Aur Tu In English By Famous Poet Khatir Ghaznavi. Aarzuen Na-rasai Ru-ba-ru Main Aur Tu is written by Khatir Ghaznavi. Read famous Poem Aarzuen Na-rasai Ru-ba-ru Main Aur Tu for youth and Student by Khatir Ghaznavi. Free Download Aarzuen Na-rasai Ru-ba-ru Main Aur Tu in PDF.