Bastiyan Ho Gain Benam-o-nishan Raaton-raat

bastiyan ho gain benam-o-nishan raaton-raat

aise tufan bhi aae hain yahan raaton-raat

ji mein aata hai ki tabir tujhi se puchhen

ho gaya KHwab tera jism-e-jawan raaton-raat

sham hangama tha KHushiyan thin hasin chehre the

kho gai mahfil-e-ahbab kahan raaton-raat

husn jalta raha shamon ki tapan KHalwat mein

ho gai mashal-e-mahtab dhuan raaton-raat

ek jahangir KHamoshi ki rajaz-KHwani hai

ho gaya kya ye mere ghar ka saman raaton-raat

kaun in kaliyon ki qismat pe na roe 'KHatir'

jin ko kar deti hai taqdir jawan raaton-raat

(394) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bastiyan Ho Gain Benam-o-nishan Raaton-raat In English By Famous Poet Khatir Ghaznavi. Bastiyan Ho Gain Benam-o-nishan Raaton-raat is written by Khatir Ghaznavi. Read famous Poem Bastiyan Ho Gain Benam-o-nishan Raaton-raat for youth and Student by Khatir Ghaznavi. Free Download Bastiyan Ho Gain Benam-o-nishan Raaton-raat in PDF.