Fariyaad Bhi Hai Su-e-adab Apne Shahr Mein

fariyaad bhi hai su-e-adab apne shahr mein

hum phir rahe hain mohr-ba-lab apne shahr mein

ab kya dayar-e-ghair mein DhunDen hum aashna

apne to ghair ho gae sab apne shahr mein

ab imtiyaz-e-dushmani-o-dosti kise

haalat ho gae hain ajab apne shahr mein

jo phul aaya sabz qadam ho ke rah gaya

kab fasl-e-gul hai fasl-e-tarab apne shahr mein

jo randa-e-zamana the ab shahryar hain

kis ko KHayal-e-nam-o-nasab apne shahr mein

ek aap hain ki sara zamana hai aap ka

ek hum ki ajnabi hue ab apne shahr mein

'KHatir' ab ahl-e-dil bhi bane hain zamana-saz

kis se karen wafa ki talab apne shahr mein

(372) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fariyaad Bhi Hai Su-e-adab Apne Shahr Mein In English By Famous Poet Khatir Ghaznavi. Fariyaad Bhi Hai Su-e-adab Apne Shahr Mein is written by Khatir Ghaznavi. Read famous Poem Fariyaad Bhi Hai Su-e-adab Apne Shahr Mein for youth and Student by Khatir Ghaznavi. Free Download Fariyaad Bhi Hai Su-e-adab Apne Shahr Mein in PDF.