Faza Ka Zarra Zarra Ishq Ki Taswir Tha Kal Shab Jahan Main Tha

faza ka zarra zarra ishq ki taswir tha kal shab jahan main tha

main KHud apni nazar mein sahib-e-tauqir tha kal shab jahan main tha

jise dekha wo diwana tha naqsh-e-dilnashin ke husn-e-adil ka

jise socha fana ke rang ki tafsir tha kal shab jahan main tha

mera dil mere jis pahlu mein raqsan tha usi pahlu mein jannat thi

ye manzar chashm-e-wa ke KHwab ki tabir tha kal shab jahan main tha

wo kya lau thi ki jis ki ek kiran mein surajon ki wusaten gum thin

mera sara jahan tanwir hi tanwir tha kal shab jahan main tha

imarat jism ki mismar hoti ja rahi har nafas lekin

dil-e-viran ko zoam-e-rifat-e-tamir tha kal shab jahan main tha

hawa ne ehtiram-e-mahfil-e-qudsi mein apnai rawish gul ki

fida is KHamushi par jauhar-e-taqrir tha kal shab jahan main tha

(372) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faza Ka Zarra Zarra Ishq Ki Taswir Tha Kal Shab Jahan Main Tha In English By Famous Poet Khatir Ghaznavi. Faza Ka Zarra Zarra Ishq Ki Taswir Tha Kal Shab Jahan Main Tha is written by Khatir Ghaznavi. Read famous Poem Faza Ka Zarra Zarra Ishq Ki Taswir Tha Kal Shab Jahan Main Tha for youth and Student by Khatir Ghaznavi. Free Download Faza Ka Zarra Zarra Ishq Ki Taswir Tha Kal Shab Jahan Main Tha in PDF.