Go Zara Si Baat Par Barson Ke Yarane Gae

go zara si baat par barson ke yarane gae

lekin itna to hua kuchh log pahchane gae

garmi-e-mahfil faqat ek nara-e-mastana hai

aur wo KHush hain ki is mahfil se diwane gae

main ise shohrat kahun ya apni ruswai kahun

mujh se pahle us gali mein mere afsane gae

wahshaten kuchh is tarah apna muqaddar ban gain

hum jahan pahunche hamare sath virane gae

yun to wo meri rag-e-jaan se bhi the nazdik-tar

aansuon ki dhund mein lekin na pahchane gae

ab bhi un yaadon ki KHushbu zehn mein mahfuz hai

bar-ha hum jin se gulzaron ko mahkane gae

kya qayamat hai ki 'KHatir' kushta-e-shab the bhi hum

subh bhi aai to mujrim hum hi gardane gae

(593) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Go Zara Si Baat Par Barson Ke Yarane Gae In English By Famous Poet Khatir Ghaznavi. Go Zara Si Baat Par Barson Ke Yarane Gae is written by Khatir Ghaznavi. Read famous Poem Go Zara Si Baat Par Barson Ke Yarane Gae for youth and Student by Khatir Ghaznavi. Free Download Go Zara Si Baat Par Barson Ke Yarane Gae in PDF.