Koi Kali Hai Na Ghuncha Na Gul Bara-e-saba

koi kali hai na ghuncha na gul bara-e-saba

chaman mein kanTe hain daman bacha ke aae saba

na ab tilism-e-bahaaran na ab fusun-e-jamal

wo lamhe KHwab hue KHwab bhul jae saba

kabhi fazaon mein KHushbu uDae phirti thi

magar ye din ki bahaaron mein KHak uDae saba

kali hai mohr-ba-lab phul hai gareban chaak

ajal ki dhup hai phirti hai sae sae saba

na kuchh nishan ki sada hai na aahaTon ke nishan

chaman mein DhunDte phirte hain naqsh-e-pa-e-saba

ghuTan hai aisi ki sarsar ko bhi taraste hain

kise pukaren kahan jaen ai KHuda-e-saba

harim-e-ghuncha mein KHushbu simaT ke baiThi hai

hijab uTThe jo sahn-e-chaman mein aae saba

KHabar nahin mujhe kis samt le ke uD jae

kai dinon se mere sar mein hai hawa-e-saba

bhaTakti phirti hai sahra-e-dard mein 'KHatir'

bichhaD gaya ho koi jaise aashna-e-saba

(416) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Kali Hai Na Ghuncha Na Gul Bara-e-saba In English By Famous Poet Khatir Ghaznavi. Koi Kali Hai Na Ghuncha Na Gul Bara-e-saba is written by Khatir Ghaznavi. Read famous Poem Koi Kali Hai Na Ghuncha Na Gul Bara-e-saba for youth and Student by Khatir Ghaznavi. Free Download Koi Kali Hai Na Ghuncha Na Gul Bara-e-saba in PDF.