Pahli Mohabbaton Ke Zamane Guzar Gae

pahli mohabbaton ke zamane guzar gae

sahil pe ret chhoD ke dariya utar gae

teri ana niyaz ki kirnen bujha gai

jazbe jo dil mein ubhre the sharminda kar gae

dil ki fazaen aa ke kabhi KHud bhi dekh lo

tum ne jo dagh baKHshe the kya kya nikhar gae

tere badan ki lau mein karishma numu ka tha

ghunche jo teri sej pe jage sanwar gae

sadiyon mein chand phul khile aur samar bane

lamhon mein aandhiyon ke thapeDon se mar gae

shab bhar badan manate rahe jashn-e-mahtab

aai sahar to jaise andheron se bhar gae

mahfil mein teri aae the lekar nazar ki pyas

mahfil se teri le ke magar chashm-e-tar gae

qatre ki juraton ne sadaf se liya KHiraj

dariya samundaron mein mile aur mar gae

(392) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pahli Mohabbaton Ke Zamane Guzar Gae In English By Famous Poet Khatir Ghaznavi. Pahli Mohabbaton Ke Zamane Guzar Gae is written by Khatir Ghaznavi. Read famous Poem Pahli Mohabbaton Ke Zamane Guzar Gae for youth and Student by Khatir Ghaznavi. Free Download Pahli Mohabbaton Ke Zamane Guzar Gae in PDF.