Uljhe Uljhe Dhage Dhage Se KHayalon Ki Tarah

uljhe uljhe dhage dhage se KHayalon ki tarah

ho gaya hun in dinon tere sawalon ki tarah

apne dil ki wusaton mein har taraf bhaTka phira

be-karan mubham sarabon mein ghazalon ki tarah

ye mera ehsas hai ya jabr-e-mausam ka asar

ab ki rut mahke nahin gul pichhle salon ki tarah

asr-e-hazir ki jabin par talKHiyan kanda huin

tan gae haalat apne gird jalon ki tarah

dasht-e-gham mein aandhiyon ke dar sahne ke liye

KHushk patte uTh rahe hain aaj Dhaalon ki tarah

zulmat-e-maghrib ko 'KHatir' koi ye paigham de

hum bhi ab ubhrenge mashriq se ujalon ki tarah

(439) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uljhe Uljhe Dhage Dhage Se KHayalon Ki Tarah In English By Famous Poet Khatir Ghaznavi. Uljhe Uljhe Dhage Dhage Se KHayalon Ki Tarah is written by Khatir Ghaznavi. Read famous Poem Uljhe Uljhe Dhage Dhage Se KHayalon Ki Tarah for youth and Student by Khatir Ghaznavi. Free Download Uljhe Uljhe Dhage Dhage Se KHayalon Ki Tarah in PDF.