Wa Chashm-e-tamasha Lab-e-izhaar Sila Hai

wa chashm-e-tamasha lab-e-izhaar sila hai

koi pas-e-diwar mujhe dekh raha hai

miTTi to meri mar bhi chuki zinda sada hai

main chup hun magar dard mera bol raha hai

ashkon ka hujum aaj jise DhunD raha hai

wo dard ke dariya mein kahin Dub gaya hai

kya zahr sa har samt fazaon mein ghula hai

jo chehra bhi dekho wahi utra sa hua hai

ab KHun ke ashkon se chaman sinchna hoga

bhige hue mausam ne ye paigham diya hai

wa honTon se kya bolun ki aankhen to sili hain

sahraon mein yaron ne mujhe chhoD diya hai

guzri hui kal ke hue sikke sabhi khoTe

jo aaj ka sikka hai wahi qibla-numa hai

kab dahla hai aafat-e-zamana se mera dil

tufanon ko aana hai to darwaza khula hai

logon ne to suraj ki chaka-chaund ko puja

main ne to tere sae ko bhi sajda kiya hai

(382) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wa Chashm-e-tamasha Lab-e-izhaar Sila Hai In English By Famous Poet Khatir Ghaznavi. Wa Chashm-e-tamasha Lab-e-izhaar Sila Hai is written by Khatir Ghaznavi. Read famous Poem Wa Chashm-e-tamasha Lab-e-izhaar Sila Hai for youth and Student by Khatir Ghaznavi. Free Download Wa Chashm-e-tamasha Lab-e-izhaar Sila Hai in PDF.