Wahi LaDki

bhuri aankhon wali laDki

tujh se pahle mere pas bhi aati thi

apne ghar ki ek ek baat sunati thi

mehndi aur wismay se aari kale baalon wali ammi

jalte charaghon jaise aankhon wali bahnon

un ke sangtaron ki phankon jaise honTon

dudh ke pyalon jaise ujle galon

raushan jismon

sarw-qadon ke qisse sunaya karti thi

mere ghar mein wo KHurshid ki surat roz ubharti thi

mujh se meri nazmen git aur ghazlen sunti rahti thi

sweater bunti rahti thi

akasr meri ghazlen ga kar mujhe sunaya karti thi

chhaya ki rasiya thi wo aur chhaya rachaya karti thi

Tuk Tuk dekha karti thi

ThanDi aahen bharti thi

aisa zahir karti thi

jaise mujh par marti thi

lanbi palkon wali laDki

mujh se pahle ek sitar-nawaz ke pas bhi jati thi

us ke rasile naghmon par nagan ki tarah lahraati thi

us ki tanon aur palTon par dhuan dhuan ho jati thi

meinDh jidhar le jati thi us samt rawan ho jati thi

git ke lai baDhte hi tund bagula ban jati thi

takte takte goya ek hayula sa ban jati thi

sampar dayan panw zamin par mar ke wo ruk jati thi

ruk kar yun lahra kar girti

jaise koi kanch ka pyala

hath se chhuTe

chhan se TuTe

gir kar uThti

uTh kar yun jhuk jati thi

jaise koi ban-basi dewi

karmon ka phal bhog chuki ho

dewta ke charnon mein jhuki ho

masti mein Dag bharne wali

sambhal sambhal pag bharti thi

ThanDi aahen bharti thi

aisa zahir karti thi

jaise us par marti thi

takte hi takte wo ek hayula sa ban jati thi

us ke rasile naghmon par nagin ki tarah lahraati thi

lambi choTi wali laDki sab ko dhoka deti hai

mausiqi ki rasiya mausiqaron ko Das leti hai

(434) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahi LaDki In English By Famous Poet Khatir Ghaznavi. Wahi LaDki is written by Khatir Ghaznavi. Read famous Poem Wahi LaDki for youth and Student by Khatir Ghaznavi. Free Download Wahi LaDki in PDF.