Itne Be-mehr Mausamon Mein Bhi Usne Had Kar Di Mehrbani Ki

itne be-mehr mausamon mein bhi us ne had kar di mehrbani ki

kiya mehman mujh musafir ko aur phir dil se mezbani ki

us ke andaz se jhalakta tha koi kirdar dastanon ka

us ki aawaz se bikharti thi koi KHushbu kisi kahani ki

sham KHamosh thi so us ne bhi guftugu se gurez karte hue

jalte jazbon ko rakkha aankhon mein jism se dil ki tarjumani ki

pahle us ne gale lagaya mujhe aur phir le gai bahishton mein

ek baat us ne ki zamini si dusri baat aasmani ki

ab to haalat hui reaya si ab wo tariKH kya kahen 'KHawar'

dil ki jo saltanat mili thi hamein us pe kis kis ne hukmarani ki

(429) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Itne Be-mehr Mausamon Mein Bhi Usne Had Kar Di Mehrbani Ki In English By Famous Poet Khawar Ahmad. Itne Be-mehr Mausamon Mein Bhi Usne Had Kar Di Mehrbani Ki is written by Khawar Ahmad. Read famous Poem Itne Be-mehr Mausamon Mein Bhi Usne Had Kar Di Mehrbani Ki for youth and Student by Khawar Ahmad. Free Download Itne Be-mehr Mausamon Mein Bhi Usne Had Kar Di Mehrbani Ki in PDF.