Kahin Jalti Apni Hi Aanch Se Kahin KHushbuon Mein Bhari Hui

kahin jalti apni hi aanch se kahin KHushbuon mein bhari hui

koi shaKH-e-gul thi ki aag thi mere bazuon mein bhari hui

wo tilismi raat abhi talak mere jism o jaan pe muhit hai

wo jo raat utri thi arsh se tere jaduon mein bhari hui

tere chashm o lab ki shabahaten mujhe roz o shab milen bagh mein

kahin titliyon pe likhi hui kahin jugnuon mein bhari hui

mujhe sair-e-gul ki kisi rawish pe mili nahin hai misal bhi

koi be-misal si mushk thi tere gesuon mein bhari hui

tu chala gaya hai to shahr phir wahi dasht-e-gham hai mere liye

wahi main hun aur meri zindagi mere aansuon mein bhari hui

(342) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Jalti Apni Hi Aanch Se Kahin KHushbuon Mein Bhari Hui In English By Famous Poet Khawar Ahmad. Kahin Jalti Apni Hi Aanch Se Kahin KHushbuon Mein Bhari Hui is written by Khawar Ahmad. Read famous Poem Kahin Jalti Apni Hi Aanch Se Kahin KHushbuon Mein Bhari Hui for youth and Student by Khawar Ahmad. Free Download Kahin Jalti Apni Hi Aanch Se Kahin KHushbuon Mein Bhari Hui in PDF.