BaDhenge Aur Bhi Yun Silsile Hijabon Ke

baDhenge aur bhi yun silsile hijabon ke

kar apni baat hawale na de kitabon ke

main shahr-e-gul ka musafir mare sharik-e-safar

saubaton ki ye raaten ye din azabon ke

teri nazar se ibarat the tere sath gae

wo phul mere KHayalon ke rang KHwabon ke

tamam umr phir ek karb ki chita mein jale

hum ek pal jo ruke shahar mein gulabon ke

haTaya rang ka pauda to zaKHm zaKHm tha phul

chaman chaman the wahi silsile sarabon ke

abhi wo habs hai 'KHawar' ki dam ulajhta hai

abhi khule rakho darwaze apne KHwabon ke

(416) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaDhenge Aur Bhi Yun Silsile Hijabon Ke In English By Famous Poet Khawar Rizvi. BaDhenge Aur Bhi Yun Silsile Hijabon Ke is written by Khawar Rizvi. Read famous Poem BaDhenge Aur Bhi Yun Silsile Hijabon Ke for youth and Student by Khawar Rizvi. Free Download BaDhenge Aur Bhi Yun Silsile Hijabon Ke in PDF.