Ba-hama Yurish-e-alam-o-sitam Zinda Hun Main

ba-hama yurish-e-alam-o-sitam zinda hun main

mushaf-e-waqt ka ek bab-e-daraKHshanda hun main

mere sine mein dhaDakta hai dil-e-asr-e-rawan

is zamane ka mufassir hun numainda hun main

main ki haq tha hua har daur mein maslub magar

kal bhi painda tha main aaj bhi painda hun main

tu tamannai hai ek jannat-e-mauuda ka

apni gum ki hui firdaus ka joinda hun main

mere zaKHmon se huwaida hai hina-bandi-e-gul

ek nawed-e-chaman-arai-e-ainda hun main

madh-KHwan-e-shab-e-tarik mujhe kya samjhe

subh-e-gul-rez ke naghmon ka nawisanda hun main

ye jahan kaise faramosh karega mujh ko

is ke aflak ka ek 'KHawar'-e-tabinda hun main

(422) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ba-hama Yurish-e-alam-o-sitam Zinda Hun Main In English By Famous Poet Khawar Rizvi. Ba-hama Yurish-e-alam-o-sitam Zinda Hun Main is written by Khawar Rizvi. Read famous Poem Ba-hama Yurish-e-alam-o-sitam Zinda Hun Main for youth and Student by Khawar Rizvi. Free Download Ba-hama Yurish-e-alam-o-sitam Zinda Hun Main in PDF.