Hai Qatl-gah-e-sauq Mein KHanjar Hama-tan-chashm

hai qatl-gah-e-sauq mein KHanjar hama-tan-chashm

manzar hama-tan-gul gul-e-manzar hama-tan-chashm

hai kaun jo aashufta-mizaji ki rakhe laj

us ku-e-malamat ke hain patthar hama-tan-chashm

kab aaega insaf ka din dawar-e-mahshar

ek umr se main hun sar-e-mahshar hama-tan-chashm

ye subh to wo subh nahin jis ki talab mein

tare sar-e-mizhgan rahe shab bhar hama-tan-chashm

ai jaan-e-ghazal tu hai kahan tere liye hai

'KHawar' hama-tan-dil dil-e-'KHawar' hama-tan-chashm

(382) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Qatl-gah-e-sauq Mein KHanjar Hama-tan-chashm In English By Famous Poet Khawar Rizvi. Hai Qatl-gah-e-sauq Mein KHanjar Hama-tan-chashm is written by Khawar Rizvi. Read famous Poem Hai Qatl-gah-e-sauq Mein KHanjar Hama-tan-chashm for youth and Student by Khawar Rizvi. Free Download Hai Qatl-gah-e-sauq Mein KHanjar Hama-tan-chashm in PDF.