Hur-o-qusur Se Na Bahisht-e-barin Se Hai

hur-o-qusur se na bahisht-e-barin se hai

nazan hun main ki mera talluq zamin se hai

waqf-e-farogh-e-rang-nazar aur dil ba-zid

pairahan-e-hayat darida kahin se hai

sajdon ki zau nahin hai to zaKHmon ke phul hain

baqi koi to sang ka rishta jabin se hai

kya zikr-e-be-ruKHi ki ye shewa hai husn ka

shikwa mujhe teri nigah-e-awwalin se hai

main tera bankpan hun mujhe hath se na kho

angushtari ki zinat-o-qimat nagin se hai

dhul uD rahi hai dida-e-KHun-naba-bar mein

qaem ab ashk-e-gham ka bharam aastin se hai

hum bhagte phiren ye murawwat se hai baid

jab gardish jahan ko aqidat hamin se hai

aashob-e-rozgar ne ye haal kar daya

baaten kahin ki hain to hawala kahin se hai

'KHawar' kisi bhi rishte ko hasil nahin sabaat

juz rishta-e-wafa jo dam-e-wapsin se hai

(398) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hur-o-qusur Se Na Bahisht-e-barin Se Hai In English By Famous Poet Khawar Rizvi. Hur-o-qusur Se Na Bahisht-e-barin Se Hai is written by Khawar Rizvi. Read famous Poem Hur-o-qusur Se Na Bahisht-e-barin Se Hai for youth and Student by Khawar Rizvi. Free Download Hur-o-qusur Se Na Bahisht-e-barin Se Hai in PDF.