Ashk Aankhon Mein Na The Did Ka Sauda To Na Tha

ashk aankhon mein na the did ka sauda to na tha

ishq se pahle kisi taur taqaza to na tha

apne hi saya se Darta hun ilahi tauba

is tarah se kabhi andesha-e-farda to na tha

un se pahle bhi chaman mein thi sahar ki raunaq

baad-e-sarsar ki jawani ka nazara to na tha

pahle bhi chand sitare the falak par maujud

gesu-e-shab ko bahaaron ne sanwara to na tha

jaane kyun aankhon mein aate hain simaT kar aansu

sochta hun kahin gardish mein sitara to na tha

yaad aate hi baDha un se mulaqat ka shauq

uTh gae KHud hi qadam dil mein irada to na tha

main ne mai-KHane ke har jam mein garmi pai

jaane kya chiz thi paimanon mein baada to na tha

ab to har sans pe hota hai guman-e-dhaDkan

dard uThta hi raha hai magar aisa to na tha

aankh jhapki thi 'KHizar' nabz ruki thi ek dam

kuchh bhi kah lijiye wo dost ka jalwa to na tha

(484) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ashk Aankhon Mein Na The Did Ka Sauda To Na Tha In English By Famous Poet Khizr Barni. Ashk Aankhon Mein Na The Did Ka Sauda To Na Tha is written by Khizr Barni. Read famous Poem Ashk Aankhon Mein Na The Did Ka Sauda To Na Tha for youth and Student by Khizr Barni. Free Download Ashk Aankhon Mein Na The Did Ka Sauda To Na Tha in PDF.