Ek Nai Subh Ka Aaghaz Hai Anjam Ke Baad

ek nai subh ka aaghaz hai anjam ke baad

phir wahi silsila-e-ishq hai ilzam ke baad

jaane kya hoga meri sai-e-talab ka hasil

zehn mein kuchh nahin mahfuz tere nam ke baad

sehn-e-gulshan mein bahaaron ka nishan tak bhi nahin

KHak uDti hai faqat gardish-e-ayyam ke baad

subh se karb-o-aziyyat ka ye aalam tauba

dard kuchh aur siwa hota hai har sham ke baad

us se pahle to har ek azm-o-amal hai be-sud

qalb-e-muztar ko sukun milta hai aalam ke baad

us ne kuchh aur KHitabaat diye hain KHat mein

sath wahshi bhi likha hai mujhe badnam ke baad

meri jaanib bhi KHizar bazm-e-adu mein ek din

us ki maKHsus nazar thi nigah-e-am ke baad

(413) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Nai Subh Ka Aaghaz Hai Anjam Ke Baad In English By Famous Poet Khizr Barni. Ek Nai Subh Ka Aaghaz Hai Anjam Ke Baad is written by Khizr Barni. Read famous Poem Ek Nai Subh Ka Aaghaz Hai Anjam Ke Baad for youth and Student by Khizr Barni. Free Download Ek Nai Subh Ka Aaghaz Hai Anjam Ke Baad in PDF.