Ishq Mein Kya Kaam Karti Aql-o-danai Ki Baat

ishq mein kya kaam karti aql-o-danai ki baat

do-qadam aage chali izzat se ruswai ki baat

waqt-e-mushkil ghair kya apne bhi dushman ban gae

kah gaya hai josh mein diwana gahrai ki baat

kaam karta hai tasawwur kaam aati hai nazar

be-sabab hoti nahin hai jalwa-arai ki baat

muskuraata hun to aankhon mein machal jate hain ashk

dard mein ghul-mil gai hai ek harjai ki baat

parda-dari ki numaish ho rahi hai roz-o-shab

ek tamasha ban gai hai KHud tamashai ki baat

KHud-baKHud pairon se rista hai 'KHizar' mere lahu

jab koi karta hai mujh se aabla-pai ki baat

(466) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Mein Kya Kaam Karti Aql-o-danai Ki Baat In English By Famous Poet Khizr Barni. Ishq Mein Kya Kaam Karti Aql-o-danai Ki Baat is written by Khizr Barni. Read famous Poem Ishq Mein Kya Kaam Karti Aql-o-danai Ki Baat for youth and Student by Khizr Barni. Free Download Ishq Mein Kya Kaam Karti Aql-o-danai Ki Baat in PDF.