Jafa Ke Baad Hua Hai Magar Malal To Hai

jafa ke baad hua hai magar malal to hai

KHusha-nasib unhen phir mera KHayal to hai

adu ki bazm-e-tarab mein sharik kya hote

mizaj-e-dost mein ab tak bhi ishtial to hai

zaban pe harf-o-hikayat kya zaruri hain

gareban chaak dikhana hi arz-e-haal to hai

kisi ki rah-e-mohabbat mein gamzan hona

hayat ka yahi zarrin ek maal to hai

junun-e-shauq ki takmil ho na ho phir bhi

kisi ke pesh-e-nazar ishq ka sawal to hai

nazar mein pyar ishaaron mein dil ki baat ka aks

zaban pe zahiri ek un ki qil-o-qal to hai

tasawwuraat mein koi sama raha hai 'KHizar'

qarar phir na sahi azm-e-nek-fal to hai

(387) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jafa Ke Baad Hua Hai Magar Malal To Hai In English By Famous Poet Khizr Barni. Jafa Ke Baad Hua Hai Magar Malal To Hai is written by Khizr Barni. Read famous Poem Jafa Ke Baad Hua Hai Magar Malal To Hai for youth and Student by Khizr Barni. Free Download Jafa Ke Baad Hua Hai Magar Malal To Hai in PDF.