Hijr Ki Shab Hai Aur Ujala Hai

hijr ki shab hai aur ujala hai

kya tasawwur bhi luTne wala hai

gham to hai ain-e-zindagi lekin

gham-gusaron ne mar Dala hai

ishq majbur o na-murad sahi

phir bhi zalim ka bol-baala hai

dekh kar barq ki pareshani

aashiyan KHud hi phunk Dala hai

kitne ashkon ko kitni aahon ko

ek tabassum mein us ne Dhaala hai

teri baaton ko main ne ai waiz

ehtiraman hansi mein Tala hai

maut aae to din phiren shayad

zindagi ne to mar Dala hai

sher naghma shaguftagi masti

gham ka jo rup hai nirala hai

laghzishen muskurai hain kya kya

hosh ne jab mujhe sambhaala hai

dam andhere mein ghuT raha hai 'KHumar'

aur chaaron taraf ujala hai

(425) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hijr Ki Shab Hai Aur Ujala Hai In English By Famous Poet Khumar Barabankavi. Hijr Ki Shab Hai Aur Ujala Hai is written by Khumar Barabankavi. Read famous Poem Hijr Ki Shab Hai Aur Ujala Hai for youth and Student by Khumar Barabankavi. Free Download Hijr Ki Shab Hai Aur Ujala Hai in PDF.