Kabhi Jo Maine Masarrat Ka Ehtimam Kiya

kabhi jo main ne masarrat ka ehtimam kiya

baDe tapak se gham ne mujhe salam kiya

hazar tark-e-talluq ka ehtimam kiya

magar jahan wo mile dil ne apna kaam kiya

zamane walon ke Dar se uTha na hath magar

nazar se us ne ba-sad mazarat salam kiya

kabhi hanse kabhi aahen bharin kabhi roe

ba-qadr-e-martaba har gham ka ehtiram kiya

hamare hisse ki mai kaam aae pyason ke

ze-rah-e-KHair gunah-e-shikast-e-jam kiya

tulu-e-mahr se bhi ghar ki tirgi na ghaTi

ek aur shab kaTi ya main ne din tamam kiya

dua ye hai na hon gumrah ham-safar mere

'KHumar' main ne to apna safar tamam kiya

(416) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Kabhi Jo Maine Masarrat Ka Ehtimam Kiya In English By Famous Poet Khumar Barabankavi. Kabhi Jo Maine Masarrat Ka Ehtimam Kiya is written by Khumar Barabankavi. Read famous Poem Kabhi Jo Maine Masarrat Ka Ehtimam Kiya for youth and Student by Khumar Barabankavi. Free Download Kabhi Jo Maine Masarrat Ka Ehtimam Kiya in PDF.