Kabhi Sher-o-naghma Ban Ke Kabhi Aansuon Mein Dhal Ke

kabhi sher-o-naghma ban ke kabhi aansuon mein Dhal ke

wo mujhe mile to lekin mile suraten badal ke

ye wafa ki saKHt rahen ye tumhaare pa-e-nazuk

na lo intiqam mujh se mere sath sath chal ke

wahi aankh be-baha hai jo gham-e-jahan mein Dube

wahi jam jam hai jo baghair farq chhalke

na to hosh se taaruf na junun se aashnai

ye kahan pahunch gae hum teri bazm se nikal ke

ye charagh-e-anjuman to hain bas ek shab ke mehman

tu jala wo shama ai dil jo bujhe kabhi na jal ke

koi ai 'KHumar' un ko mere sher nazr kar de

jo muKHalifin muKHlis nahin mo'tarif ghazal ke

(470) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Sher-o-naghma Ban Ke Kabhi Aansuon Mein Dhal Ke In English By Famous Poet Khumar Barabankavi. Kabhi Sher-o-naghma Ban Ke Kabhi Aansuon Mein Dhal Ke is written by Khumar Barabankavi. Read famous Poem Kabhi Sher-o-naghma Ban Ke Kabhi Aansuon Mein Dhal Ke for youth and Student by Khumar Barabankavi. Free Download Kabhi Sher-o-naghma Ban Ke Kabhi Aansuon Mein Dhal Ke in PDF.