Pi Pi Ke Jagmagae Zamane Guzar Gae

pi pi ke jagmagae zamane guzar gae

raaton ko din banae zamane guzar gae

jaan-e-bahaar phul nahin aadmi hun main

aa ja ki muskurae zamane guzar gae

kya laiq-e-sitam bhi nahin ab main dosto

patthar bhi ghar mein aae zamane guzar gae

o jaane wale aa ki tere intizar mein

raste ko ghar banae zamane guzar gae

gham hai na ab KHushi hai na ummid hai na yas

sab se najat pae zamane guzar gae

marne se wo Daren jo ba-qaid-e-hayat hain

mujh ko to maut aae zamane guzar gae

kya kya tawaqquat thin aahon se ai 'KHumar'

ye tir bhi chalae zamane guzar gae

(372) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pi Pi Ke Jagmagae Zamane Guzar Gae In English By Famous Poet Khumar Barabankavi. Pi Pi Ke Jagmagae Zamane Guzar Gae is written by Khumar Barabankavi. Read famous Poem Pi Pi Ke Jagmagae Zamane Guzar Gae for youth and Student by Khumar Barabankavi. Free Download Pi Pi Ke Jagmagae Zamane Guzar Gae in PDF.