Wo Hamein Jis Qadar Aazmate Rahe

wo hamein jis qadar aazmate rahe

apni hi mushkilon ko baDhate rahe

wo akele mein bhi jo lajate rahe

ho na ho un ko hum yaad aate rahe

yaad karne pe bhi dost aae na yaad

doston ke karam yaad aate rahe

aankhen sukhi hui naddiyan ban gain

aur tufan ba-dastur aate rahe

pyar se un ka inkar bar-haq magar

lab ye kyun der tak thartharaate rahe

thin kamanen to hathon mein aghyar ke

tir apnon ki jaanib se aate rahe

kar liya sab ne hum se kinara magar

ek naseh gharib aate jate rahe

mai-kade se nikal kar janab-e-'KHumar'

kaba o dair mein KHak uDate rahe

(451) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Hamein Jis Qadar Aazmate Rahe In English By Famous Poet Khumar Barabankavi. Wo Hamein Jis Qadar Aazmate Rahe is written by Khumar Barabankavi. Read famous Poem Wo Hamein Jis Qadar Aazmate Rahe for youth and Student by Khumar Barabankavi. Free Download Wo Hamein Jis Qadar Aazmate Rahe in PDF.