Wo Siwa Yaad Aae Bhulane Ke Baad

wo siwa yaad aae bhulane ke baad

zindagi baDh gai zahr khane ke baad

dil sulagta raha aashiyane ke baad

aag ThanDi hui ek zamane ke baad

raushni ke liye dil jalana paDa

aisi zulmat baDhi tere jaane ke baad

jab na kuchh ban paDa arz-e-gham ka jawab

wo KHafa ho gae muskurane ke baad

dushmanon se pasheman hona paDa

doston ka KHulus aazmane ke baad

ranj had se guzar ke KHushi ban gaya

ho gae par hum Dub jaane ke baad

baKHsh de ya rab ahl-e-hawas ko bahisht

mujh ko kya chahiye tujh ko pane ke baad

kaise kaise gile yaad aae 'KHumar'

un ke aane se qabl un ke jaane ke baad

(352) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Siwa Yaad Aae Bhulane Ke Baad In English By Famous Poet Khumar Barabankavi. Wo Siwa Yaad Aae Bhulane Ke Baad is written by Khumar Barabankavi. Read famous Poem Wo Siwa Yaad Aae Bhulane Ke Baad for youth and Student by Khumar Barabankavi. Free Download Wo Siwa Yaad Aae Bhulane Ke Baad in PDF.