Kaj-faham Se Kya Dil Ki Hikayat Kahen Hum

kaj-faham se kya dil ki hikayat kahen hum

behtar hai jo samjhen so wahi ban ke rahen hum

ho rau mein teri chashm-e-bala-KHez ka dariya

is nur ke sailab mein ek bar bahen hum

jo kaif tere qurb mein hai aur kahan hai

dekh aae hain waise to bahut aish-gahen hum

thi jhilon ki aaghosh mein gahrai jahan par

chhoD aae parindon ki tarah aisi jaghen hum

aamad ka teri jab koi imkan nahin hai

kab tak dil-e-be-tab yunhi tham rakhen hum

jo aks wo chahen wahi aaina dikhae

wo dekhen hamein jaise 'KHiram' un ko dikhen hum

(419) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaj-faham Se Kya Dil Ki Hikayat Kahen Hum In English By Famous Poet Khurram Khiram Siddiqui. Kaj-faham Se Kya Dil Ki Hikayat Kahen Hum is written by Khurram Khiram Siddiqui. Read famous Poem Kaj-faham Se Kya Dil Ki Hikayat Kahen Hum for youth and Student by Khurram Khiram Siddiqui. Free Download Kaj-faham Se Kya Dil Ki Hikayat Kahen Hum in PDF.