Muhasba Kiya Na Jae IsMein Kis Ka Kya Gaya

muhasba kiya na jae is mein kis ka kya gaya

na mujh se hi raha gaya na us se kuchh saha gaya

ye dil se dil ka wasta bhi kitna dil-fareb hai

jagi hai dil mein raushni ki tera dard bha gaya

ye kis ke naqsh-e-pa pe sab ne eatibar kar liya

ye kaun pesh-rau bana ki rasta bana gaya

nazar mila ke us se meri baat tak nahin hui

mere muamle mein jaane kaun kya laga gaya

abhi bhi meri jeb mein hai raushni bachi hui

andhera kis umid par mere qarib aa gaya

ye nil mujh se kah raha hai tanz ki zaban mein

wahan pe ja sada laga jahan tera asa gaya

mujhe pata nahin malak ki kis maqam par hun main

zaban se jo nikal gai use adab likha gaya

(423) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muhasba Kiya Na Jae IsMein Kis Ka Kya Gaya In English By Famous Poet Khursheed Ahmad Malik. Muhasba Kiya Na Jae IsMein Kis Ka Kya Gaya is written by Khursheed Ahmad Malik. Read famous Poem Muhasba Kiya Na Jae IsMein Kis Ka Kya Gaya for youth and Student by Khursheed Ahmad Malik. Free Download Muhasba Kiya Na Jae IsMein Kis Ka Kya Gaya in PDF.