Mausam-e-gul Ye Teri Zard Sahafat Kaisi

mausam-e-gul ye teri zard sahafat kaisi

phul masum hain phulon se siyasat kaisi

us ne daldal ke qarin chhoD di ungli meri

KHizr kahlata hai karta hai qayaadat kaisi

jaise is bar hawaon mein lagi ho dimak

ho rahi hai meri sanson ki kifalat kaisi

main jahan bhi rahun ye DhunD nikalegi mujhe

jaanta hun ki hai miTTi ki basarat kaisi

chhin gai mujh se har ek chiz alif se ya tak

mere mazi ne ye likkhi thi wasiyyat kaisi

gar koi qatl nahin karta hai andar se mujhe

phir meri palkon pe ashkon ki ye mayyat kaisi

sang hathon mein liye soch raha hun 'KHurshid'

aaine se ye nikal aai raqabat kaisi

(466) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mausam-e-gul Ye Teri Zard Sahafat Kaisi In English By Famous Poet Khursheed Ahmad Malik. Mausam-e-gul Ye Teri Zard Sahafat Kaisi is written by Khursheed Ahmad Malik. Read famous Poem Mausam-e-gul Ye Teri Zard Sahafat Kaisi for youth and Student by Khursheed Ahmad Malik. Free Download Mausam-e-gul Ye Teri Zard Sahafat Kaisi in PDF.