Kya Kya Na Dosti Ke Janaze UThae Hain

kya kya na dosti ke janaze uThae hain

thak-haar kar adu ke ilaqe mein aae hain

aa dekh zindagi teri izzat ke waste

zaKHmi labon se hum ne tabassum luTae hain

kis se karen sawal ke aawa bhi chahiye

hum ne bhi chaak par kai kuze banae hain

tezab chhiDke jaenge ru-e-gulab par

sunte hain gulistan mein wo tashrif lae hain

mazi ko haal karne ki ye bhi hai ek lalak

aawaz tu ne di hai to hum lauT aae hain

hum par hi raushni ki imamat hui tamam

hum ne diye hawaon ke ghar mein jalae hain

sahra mein zindagi ki alamat bhi DhunDhna

hum bhi kai suragh wahan chhoD aae hain

khinchi thi tum ne hadd-e-wafa ki jahan lakir

hum hasraten tamam wahan chhoD aae hain

ye hai kisi ke gham ki shariat ka ehtimam

aankhen meri zarur hain aansu parae hain

tohfe mein tum ne bheje the bujhte diye tamam

aur hum tumhaare waste 'KHurshid' lae hain

(398) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Kya Na Dosti Ke Janaze UThae Hain In English By Famous Poet Khursheed Ahmad Malik. Kya Kya Na Dosti Ke Janaze UThae Hain is written by Khursheed Ahmad Malik. Read famous Poem Kya Kya Na Dosti Ke Janaze UThae Hain for youth and Student by Khursheed Ahmad Malik. Free Download Kya Kya Na Dosti Ke Janaze UThae Hain in PDF.