BhaTak Rahi Hai Ruh Ke Andar Lazzat Sukhi Gili Si

bhaTak rahi hai ruh ke andar lazzat sukhi gili si

jaise rasta bhul gai ho ek nadi pathrili si

mere us ke bich ka rishta ek majbur zarurat hai

main sukhe jazbon ka indhan wo machis ki tili si

dekhun kaisi fasl ugata hai mausam tanhai ka

dard ke bij ki nasl hai unchi dil ki miTTi gili si

darwaze par munh laTkae qillat rang-o-roghan ki

aangan aangan jashn manae KHwahish nili pili si

mujh ko banT ke rakh deti hai dhup chhanw ke KHemon mein

kuchh be-ghairat si masrufi kuchh fursat sharmili si

din bhar ki jaan-soz thakan ka ajr chukane ko 'KHurshid'

sham ke parbat par baiThi hai ek saat nokili si

(329) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BhaTak Rahi Hai Ruh Ke Andar Lazzat Sukhi Gili Si In English By Famous Poet Khursheed Akbar. BhaTak Rahi Hai Ruh Ke Andar Lazzat Sukhi Gili Si is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem BhaTak Rahi Hai Ruh Ke Andar Lazzat Sukhi Gili Si for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download BhaTak Rahi Hai Ruh Ke Andar Lazzat Sukhi Gili Si in PDF.