Dariya Mein Bahut Kuchh Hai Rawani Ke Alawa

dariya mein bahut kuchh hai rawani ke alawa

muddat se main sairab hun pani ke alawa

ai shahr-e-sitam-zad teri umr baDi ho

kuchh aur bata naql-e-makani ke alawa

iman-shikan paikar-e-doshiza-e-alam

sab kuchh hai tere pas jawani ke alawa

kis ahd-e-gunahgar ne li aaKHiri hichki

masruf hain sab fatiha-KHwani ke alawa

rangon ko baratne ka hunar sikh chuka hun

kya chahiye ab teri nishani ke alawa

duniya se talluq ka sabab kis ko bataun

ab dost kahan dushman-e-jaani ke alawa

kya dun tujhe jati hui jaan-baz bahaaro

kuchh pas nahin barg-e-KHizani ke alawa

har shaKHs mudawa hai aqidat se hai be-zar

mohlat hai kise pir-e-mughani ke alawa

ashaar kahan dete hain munh dekhi gawahi

'KHurshid' kahan nur-e-maani ke alawa

(385) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dariya Mein Bahut Kuchh Hai Rawani Ke Alawa In English By Famous Poet Khursheed Akbar. Dariya Mein Bahut Kuchh Hai Rawani Ke Alawa is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem Dariya Mein Bahut Kuchh Hai Rawani Ke Alawa for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download Dariya Mein Bahut Kuchh Hai Rawani Ke Alawa in PDF.